PGDCA Karna Chahiye Ya Nahi Suggested By PCGYAN1

Post a Comment
Hello my Dear Friends aaj mai aapse bat karne wala hu PGDCA Course ke bare me ki kya PGDCA Course Karna chahiye ki nahi is post me mai aapko bataunga ki PGDCA Course Karne ke fayde hai aur nuksan hai. To chaliye suru karte hai.
PGDCA kyo kare

PGDCA kya hai

PGDCA ek Diploma Course hai jisko abhi ke samay me kai sari University kra rahe hai mai apni bat karu to maine Pt. Ravishankar University  (Raipur) se ye Course kiya hai.
Is Cours me aapko practical ke rup me ve sabhi karya karaye jate hai jo ki kisi ek programmer ko jankari hona chahiye isme matra aapko basic sikhya jata hai aur aap is Course ko karke koi programmer nahi ban sakte hai aur na hi koi bahute bade developer kyoki aapko isme sidhe sidhe is par kam karna sikhya jata hai program ko kaise manage karna hai ye nahi bataya jata hai.
Isme aapko padhne ko milega C language aur Visual basic jaise subjects jisko aapko achchhe se practical karaya jata hai, aur iske alvaa E-commerce and HTML, Introduction of Software Organisation, Office automation and Tally aur DBMS jaise Subject padhne ko milte hai jo ek dusre se nahi milte hai.

E-commerce me kya padhya jata hai?

E-commerce me aapko Internet se hone vale vyaparik labh ke bare me btaya jata hai aur logo ko kaise internet paise kamane me madad kar rha hai uske bare me batata hai aur bhi bahut sari bate aapko isme batai jati hai. E-commerce se jude website ko kya kya karna chahiye ye batata hai.

HTML me kya padhate hai?

HTML me aapko Web designing ke liye use hone vale basic tag ke bare me bataya jata hai aur aapko bataya jata hai ki kaise aap website ko design kar sakte hai. yaha sirf basic hai agar aap achchhe se sikhna chahte hai to aapko aur kahi Cours karne ki aavshyakta hoti hai.

C Language me kya padhate hai

C language me aapko basic Coding ke bare me bataya jata hai isme bhi aapko pure sikhne ko nahi mailta hai agar aap koi app banate hai to aapko iski aavshyakta jayada padti hai.

Visual Basic me kya padhte hai?

Visual basic Microsoft ke dwara banaya gaya ek application hai jisme aapko batya jata hai windows me chalne vale program ko kaise banana hai aur window aadharit application kaise banana hai.
is subject me aapko Graphical user interface ke bare me bhi bataya jata hai. matlab ki aapko grafics me visual basic ke madhyam se kaise image ko optimize karna hai ye bataya jata aur iske itihas ko bhi aapko padhne ko mil jata hai.

Office automation and Tally me kya karaya jata hai?

Is subject me aapko office work me use hone wale appliction jaise ms office aur tally ke bare me bataya jata hai.

Introduction of Software organisation kya hai

yah ek subject hai jisme ki aapko bataya jata hai ki aapko software ko kaise organis karna hai. aapko is subject ke madhyam se software se introduse karaya jata hai.

ab ye to huye inme padhaye jane vale subject ki bat ab ham jante hai ki is course me hame kya kya sikhne ko milta hai.

kon se job aapko mil sakte hai

jaha tak bat kare india me job ki to yaha bahiya condition itna kharab hai ki PGDCA walo ko bhi data entry ka kam nasib nahi hota hai kisi private sector me kyo kyoki use tally thik se aati hi nahi hai aur aapko bata de ki jise aaj ke samay me tally aati hai wah 7 se 8 hajar mahine aram se kama sakta hai kisi private shop ya moll me jaha tak bhaiya meri bat kare to mujhe tally nahi aati hai kyoki maine isko sikhne me utna intrest hi nahi liya aur jab mai tally kar raha tha tab bhi vaha tally ke bare me utna achchhe se nahi padhaya gaya tha. sirf company create karne ke bare me bataya gaya tha.

ab bat kare government job ki to isko aapko pane ke liye competition ka exam dilana padega agar aap usme pass ho jate hai to aapki job pakki hai kyoki vaha par aapka talent nahi dekha jata hai bhaiya aapke pas agar degree hai to aap job ke yogya hai.

PGDCA karna chahiye ya nahi meri kya hai ray chaliye jante hai?

mere hisab se agar aapko programmer banna hai to ye course bilkul mat kare kyoki aapko isme kewla aur kewal basic ke bare me bataya jata hai. ha agar govt job ki bat kare to isme aapko benefit mil sakta hai. kyoki isme degree dekhi jati aur job pane ke liye matra ek exam dilana hota hai jisme bahut jyada competition hai abhi ke samay me to aapko kya karna hai aap khud diside kar sakte hai.
jo log soch rahe hai bhai isko karne ke bad private job pakki hai ganta nahi milne vala hai kyoki isme aapko practicaly batana hota hai aur aapko to sirf basic hi pata hai. deap tak kabhi kisi ne bataya hi nahi isme vahi bat aati hai jase nam bade darsan chhote. baiya PGDCA ka hauwa to ese udaya jata hai mano ye bahut bada course ho lekin hone vala kuchh nahi hai. jab tak aap kahi aur se isko nahi sikhte aap job ke kabil ban hi nahi sakte hai.
practical me esi chije sikhayi jati hai jiska use sayad hi koi us course ko karne vala karta hai to mere hisab se agar aapko 7 se 8 hajar vali job ki talas hai to aap tally sikh jaye aapko private job mil jayegi.
yah 2500 se 3000 ke aas pass ho jata hai.hamare taraf aapke taraf kya hai hal comment karke jarur bataye.

Conclusion-

mere hisab se maine jo ban sakta tha bata diya ab aapko lena hai decision kya aapko course karna hai ya nahi. agar man me ho PGDCA ko lekar koi sawal to jarur puchhe mai reply jarur karunga.

thanks viewer
Khilawan
Hi I am Khilawan founder of this blog and i live in a small Village and i am started blogging in 2017 last month and the date is 6/12/2017 and learning today..

Related Posts

Post a Comment

Subscribe Our Newsletter